Pages

Powered by Blogger.

Assigment Blog Post 02

Thursday, February 19, 2015



HIJAB Aur Fashion
World Hijab Day February 1.
Islam ny sab sy pehly  aurat ko izat di or mashry main isy fakhr ka bais bnaya.muslman auraton ko ghair mardon ky shar sy  bachny k liye jo nishani islam ny aurat ko di usy “Hijab” kehty hain.pehly pehal bari  chader ka riwaj qaim hua phr burqy ka taswur wajood main aya.aj key door main is rewayat main behad tabdeeli namodar hogai hai.islam sy qabal door e jihalat main Hijab ka koi taswur hi na tha.muslims wo wahid or pehli qoum hy jis ny   jis ny hijab ka riwaj qaim kiya.Hijab arbi zuban ka lafz hai.is sy murad pardah.orhni,burqah waghira hy jo  aurat  ko sir ta pair tk dhanpna hy.quran main Hijab ko lambi chader k tor pr  istemal kiya gaya hy.hijab aurat ka husun hy.hijab ka hukum Quran Pak ki surah ahzab ki ayat 59 main sbsy pehly nazil hua.Hijab ka lafz Quran pak main  7 martaba aya.is sy qabil jehalat k door main aurtain yun hin bepardah phirti thin or badkar log inka pecha krty or alfaz kasty thy.is waqt ALLAh ny shareef or muslman aurton k liye surah ahzab ki ayat 59 nazil ki or hokum diya k muslman aurtain  ghir mardon sy pardah Karen or apna jism or chehra or dhanp kr rakhen.

Waqt k sath sath  burqy or naqab ka riwaj khatam horha hy.jb k hijab (scarf) ka rujhan barhta jar ha hai. Ik survey k mutabiq  taleem yafta khwateen main  scarf ka rujhan brhta jarha hai.or bary paimany py khwateen scarf pehanna pasand krti hain. Lekin yhan yh bat bhi zehan nasheen rkhni chaiye k is hijab ka maqsad pardah ni balk fashion hai.modrenization ki inteha  itni hogai hy  k ab  khwateen sar py scarf  tu pehnti hain  magar dupatta ni phnti hain jb khijab ka asal maqsad aurat ka apny apko pora dhanpna tha.magar aj k is jidat k door main wo maqsad khatam hota  dekhai dy rha hai.aj ki aurat  hijab  pardy ki ghrz sy ni bal k  fashion ki munasbit sy krti hy.deen e islam main koi zbrdasti  ni hy  lekin yh deen ka hisa hai .isko nazer andaz krna ya chor  dyna  gunah hai.aj ki aurat  hijab ko faishon ki zarorat samjh kr pehnti hy aur  aisa libas zaib tan krti hai.jis sy beahodgi or behayai janum lyti hai.sar pr tu scarf pehnti hain mgr galy main dupata ni hota.islam main tu aurat ka aurat sy or mard ka murd sy bhi  parda hai.aj ku;l tu markets main mukhtalif mukhtalif scarf mutaif kraye a chuky hain.jb k sirf sar ko dhanpna parda ni kehlata balk sar sy ly kr paon tk apny apko chupana pardah hy hijab bandhny k kuch tareqy tu bht hi galt hain jesy  uncha jorha band k usk upar scarf bandhna. APP S.A.W.W ny farmaya:”autrat pardy main rkhny ki cheez hai chunacha jb koi aurat pardy sy bahr nikalti hy tu shitan usko mardon ki nazer main acha kr dyta hy”.


Pardah jo aurat ka zewar hai .aj k door main khain nazer ni ata.hijab jysy  ik pakezah or mazhabi faizy ko  dhoka dahi or dikhawy k liye istemal kiya jarha hai.yh muslman kyun akhrat ko bhoolain bethy hain yh janty hoye bhi k asal aram gah tu akhrat hai.Humary piyary nabi ny humain pardy ka hokum diya  ta k koi buri nazar hum muslman aurton py na parhy or fitna paida na ho.



Written By:  AYesha Amin

No comments:

Post a Comment

 

Most Reading