Pages

Powered by Blogger.

Aurat ko muashry mein apna kirdar pehchany ki ashaad zaroorat

Friday, March 20, 2015


Huwa ki beti dor jahiliat sy zulmat ki chaki  mei pesti a rahi hai . kahin is beti ko zinda dafnany k alamnak waqiyat to kahin bety ko tarjee dy kr  is bei ko  ehssas e kam tari  k garhy mein daba kr muashrati  iqdaar ko  zawaal   pazeer kia gaya. Deen e islam ny jahilana rasoom  k tamaam darwazy band kr k  aurat ki izat o hurmat  ka khaas khayal rakha, aur aurat ko bahasit beti, behen ,bahu,  biwi aur maa k wo huqooq muhaiya kiye k degar mazahib mei is ki missal nahi milti



              Aurat hamary muashray mein is snaf ka kirdar or muqam ha mere muashray me is waqt jo aurat ka kya kirdar or kaam hais hwale se mujh sameet aksariyat ki soch ek kamzor or be bas makhloqse aage nh jaati taleem yafta ho ya ghair taleem yafta aurat jis izzat or muqaam ki haqdaar ha ya jo kirdar who ada kar sakti ha. Kya hum mein se koi is haqeeqat se waqf hai. Aurat jis ko awaleen darsgah ka darja hasil ha or jo chahe to apni tarbiyat se muashry ki tameer mein aham muqaam aada kar sakti ha. Lekin aaj na maloom kin la yaqeeni uljhano or by maqsad kharafaat mein uljhi ha ya na jany isko uljha dya gaya ha. Kaha jata ha k kc bhi fard ya shaqsiyat se is ki taqat chenny ka bhetreen tareeka ye ha k isy khud tarsi or ehsas e kamtari ka shikar bana dya jae or  inthai afsoos ke sath hmare muashre ki aurat ke saath ye hi sulook rawan rkha ja  raha.  hai                         

                                                      Bazhair ye maloom hota ha  k pakistan  ki abadi mein aksariyat or taleemi maidano mein numaaya kamyabyoon k bawajood muashry mulk or qom ki taraqqi mein hmara kirdar na hone k brabar ha. Is ki bunyadi waja kia hai…. ye ek bara sawal ha. Akhir jab tmam barabari k hoqooq diye jane k daway bhi kiye ja rhe ha or tmamm taraqi k darwazy bhi aurat k liye khuly hain to phir  kia kaami r kutahi hai. Jo aurat apna muasar aur musbat kirdar ada nahi kr rahi hai. Is mamly pr mein kc  mahirana ya hatmi  raye ka izhar  to nahi kr sakti bila shuba umar aur tajarby mein  bht sy danishwaroon k samny  na pukhta khayalat ki malik hoon. Lykin meri apni zaati raye mein  is sary mamly mein  hamary any hi muashrati rawaye  karfarma hain. Kahin to aurat hi ani  taqat sy nawaqif hai khud pr na aitbari aur aitmad  ki kaami  usy kar haye numaya injaam deny sy  rukti hai.Kahi is ko huqooq naswaan k naam pr by rah ravi k  raasty pr daal diya jata ha aur kahin is pr aitmaad na kr k is ki saliyatoon ki tazleel  ki ja rahi hai. Hum agr ek islami muashry  k hawalye sy apni tareekh ka jayeza lyen to humein pata chalta hai k  maazi ki aurat  apny kirdar aur apni taqat  sy aj ki aurat k muqably mein zayada agah thi  aur is ki yeh agahi  is ki any wali nasloon mein  jhalkti thi k  humein mazi ma kai namwar  siyasatdano,sainsdano,danishwaro, alimo k naam  suny ko milty hain . waqt arhny r in khwateen ny  amli medan mein nikal kr  bhi ani taqat ka loha manwaya k  inhe apni taqaat ka ba khoobi azdaza tha.

                                                             Aurat chayhe ghareelo khatoon ho ya phr  mulazmat peesha ho is ka kaam muashry ki bunyadoon ko mazboot rakhna hai jo is ky elawa koi aur  ada nahi kr sakta. Mein aj ki aurat pr nazar dalti hun to mjhe is baat ka shidat sy  ehsaas  hota hai k  aalmi muqably bazi ki dorh mein  is ka wo muqam bhula dia gaya jo isy ata kia gaya tha. Media pr dekhy to wahan humein aik rooti sooti zulum sehti  by bas aur la char aurat filmo aur dramo mein dhkhaiye jati hai ya phr naam nihad huqooq naswan ki alambardar modern aur maghrib zada aurat nazar ati hai jis ma haqeeqt kaam aur afsana zyada hota hai. Jin riwayat , miras, ikhlaqi iqdar  aur muashrati islaah ki riwayat  agli nasloon mein muntaqil karna aurat ki zamadari hai who hum khud hi bhula chuky hain  ya hum yu keh sakty hain k taleem yafta k bajaye humare muashry ki aurat degree yafta ho gai ha  jis me tarbiyaat ka fuqdan barh rha ha or tarbiyat k bagher to taleem mukammal hu hi nai saakti ek ba waqar, apni riwayat ki ameen, mazboot  aur taqaat war  aurat ki jagah humein hari hui,  dusroon k bataye huye raasto r chalti  aur ehsaas  kam tari ka shikar  aur fashion  aur taraqi k naam  pr maghrabi tehzeb  sy mutasir aurat nazar ati hai.


Ese surat haal mein is baat ki ashaad zaroorat hai k  aj hum apni saliyatoon  aur  tawaniyoon ko musbat rah mein  achy aur bury ki  tamiz k sth  istemal krna seekhein. Jo izaat muqaam  aur martaba kabhi hume is muashry mein hasil  tha who izat muqaam aur martaba  mazeed barhhany k lye  jahan hume khud koshish krny ki zraoorat hai  wahin muashry k mardoon sy bhi guzarish hai k apni maaon, beheno, betiyon aur khwateen shagirddon , kuleegz  ki saleyatoon pr  itmaad  aur yaqeen karein inki husla afzai karein  aur inki shaksiyat sazi ese  karein k inka  apni  zaat pr etmaad barh jaye.





1 comment:

Maria Ashley said...
This comment has been removed by the author.

Post a Comment

 

Most Reading