ROSHNION KA
SHEHAR TARIKIYUN MAIN DOOBA HUA
Guzishta
kae barson sy target killing ka jo silsila jari hai wo aj bhi apny urooj pr
hai.karachi taqreeben 20 million ka bari abadi wala shehar hai, jhan mukhtalif maslak sy taluq rkhny
waly log qayam pazeer hain,jo apny
masalk k mutabiq apni zindagiyan guzarty hain lekin target killers hr amm shehari ko bedardi sy
qatal kr k siyasi,mazhabi,or nasli bunyadon pr dehshat gardi phlana chaty hain Karachi
jo roshnion ka shehar khelata tha aj is
ko target killering ny apni lapiat main ly k andheron ka shehar bna diya hy.Police
or degar qanoon nafiz krny waly idary security ko bhal krny or shehriyun ko
tahafuz farham krny main nakam jis ki
wja sy unhain tanqeed ka nishana bnaya ja raha hai.
Wehshat r
barbariyayt ka jo khoni khail khaila jarha hy
is main taqreeban 120 sy zaid afrad rawan saal main target killing ka shikar ho chuky hain. Jin
main aksariyat be gunah sheriyun ki thi jo luqma e ajal bn gaye hain. Har taraf
khoof k saye mandlaty nazer aty hain.koi bhi shaks jb ghar sy tilm k husol,
halal rizq kmany ya kisi bhi maqsad k
liye ghar sy nikalta hai tu usy or usk
ghr walon ko yh khof rehta hai k yh ghar sahi salamt wapis bhi ayega ya ni kyun
k aj kisi ki bhi jaan maal mehfoz nahi.watan e aziz ka sbsy bra tejarti r sanai shehr Karachi kae maah sy dehsht grdi ki zad main
hai jis ki wja sy mulk ki tijart ki bht nuqsan phunch rha hai.dehshat gard jab
jisy jhan chain qatal kr k chaly jaty hain.lekin
in sb k bawajod qatlon k bary main qyas araiyan hain lekin koi
haqiqi sabot nahi.itni janon k zia k bad jo target killers r digar jaraim paisha afrad k
khilaf jo pertain jari hua hai us main ab tk kae dehshat gard bhi mary r pakry
gaye hain lekin sath hi kuch be gunah logon ko bhi qatal kiya gya hain.r kuch
masoom log inki qaid mn hain.lekin is sab k bawajood Karachi main target killing ka silsila tham
nahi saka.
.jpg)

.jpg)
Ab
tk kae be gunnah shehri dehshat gardi ki
zad main agaye hain lkn ab tk koi dehsht
gard hirast main ni liya gya ab wqt hai
ik hony or dhsht grdi k khilaf awaz uthany ka or mutahid rhny k liye zarori hai
k siyasi.nasli r mazhbi larayun ko khtm kr k ik hojain yh tanazat humary mashry
ko aman sy door ly ja skty hain aj humary mashry main kisi ki jan o maal mhfoz
ni hy.hukmran mazamt kr k smjhty hain yh kafi hai jb k esa ni hai yun lgta hai
jysy dehsht gardn ko hukomat or security nafiz krny walun ka koi khoof ni, KHUDAR!
Hukoomat or qanoon nafiz krny waly idaron
ki kar krdagi ko yaqeeni tor pr bhtr
bnaya jaye.
Written By:
Ayesha Amin
No comments:
Post a Comment