NOJAWAN
NASAL KI TABAHI KA SABAB
Science ney
technology k isdoor main jhan logo ki zindagian asan bnany or doston,aziz o
aqarib sy rabty main rhny k liye Marten coper ny pehla mobile phone ijad kiya
lekin ab yeh faidy k liye kum or nuqsanat key liye zyada istemal horha hai,hum
sab janty hain k mobile phone k fawaid tu bht hain lekin nuqsanat is sy bhi khain zyada hain.or
dekha jaye tu faidy nuqsanat tu hr cheez main mojood hoty hain hata k sharab main bhi faida hy lekin nuqsan
zyada hy. Kisi bhi cheez ka istemal agr had sy zyada kiya jayey tu wo nuqsan deh sabit hoti hy is lye phly yh dekhna chaiye k jo
cheez hum istemal krny jarhy hain isk fawaid
zyada hain ya nuqsanat. Duniya main taqreeban 5 billion mobile sarfeen hain in
main Pakistan dunia k pachwain number py ata hy jhan mobile phone ka istemal
bht hai. Duniya ka pehla mobile fone 13 April 1937 main Motorola name comapny ki madad sy
tyar kiya jis ka wazan taqreeban
1 kilo tha or isko
bnany main taqreeban 10 lakh dollars kharch hoye.
Mobile phone ki waja sy nojawan berarvi ka shikar horay hain aur
in k bigarny ka sbab bhi yh hi bala
hay mobile phone ka maqsad ghr sy dor
rhny waly piyaron sy rabty main rehna tha mgr ab yeh mqsad khatam hota
dikhai dy rha hy. Aksar o beshtar yh jumla
sunny ko milta hy k mobile fone
ka istemal bht amm hy ab to technology
ki yh jidat hr ghr hi ni bal k ghr k har fard k pas
dikhai dyti hy wo bhi ik ni balk ik waqt main char char fone ik nojwan k pas nazar aty hain ,jis ki sb sy bari wja sasty tareen mobile
sets or sasty tareen mobile network rates or pkgs hain. Is k bghr koi nazar hi ni ata masi driver
sy ly kr land lord tk sb k hathon main yh khilona mojood hai .pehly
phone technology ki jidad tha mgr ab khilony ki trhan hr bachy k hath main nazer
arha hy . Aj ki dunia main mobile buhat zeyada
shuharat hasil kar chukka hay. Na sirf shuharat bulkay ab yeh her ak ki zarurat
bun chukka hai. esa
lgta hy jysy yh buniyadi zrort bun gya ha SMS ho ya phir MMS ya phir mobile
phone k sasty tareen call rates ya phir
andoid fones k games ya apps.har koi in
main gum nazer ata hy esa lgta hay jaisy nojwanon ny apni alag duniya bnai hui hy. 3G or 4G ny logon ki
zindagi or asan krdi hy ab tu sab kuch
unglion par munhasir hy esa lgta hy jysy
pori duniya hathon main sama gai
hy sirf ik touch k fasly py.Mobile phone ak buhat achi aur
jadeed tareen technology hai.. Lakin mobile phone k buhat sary fawaid k sath
sath buhat sary nuqasanaat be hain. JysySub se aham faida mobile ka yeh hai k
hum apny dosto, reshtedaro aur janny walo se baat kar sakty hain beshak hum
jahan kahin be hon ak he shehar ya mulk main yah kahin mulk se bahir.Hum
bijli k istemal k bagher ak dosry ko messages bhej sakty hain aur call kar
sakty hain. Yeh mobile phone rakhny ki sub se bari wajah hai.Hum mobile ko apny
saat her jaga le ja sakty hain aur is tarah hm apni ahem calls waqat per attend
kar sakty hain.Kisi be anhoni surat main app madat k lye apno ko bula sakty
hain. Or is jysy or fwaid Yh tu bat hui
mobile phone k fawaid ki bat ab hum bt krty hain nuqsanat ki jo fawaid sy khain
zyada or khtrnak
mobile phone ka both zyada istemal insani dimagh
k lye behad nuqsan deh hai, khas tor py
bachun or teenagers kliye jo k 16
sal sy kum hain,jo llog mobile bht zyada istemal krty hain unko chkr ana shuro
hojaty hain dimagh main khoon ki rukaat
paida hojati hai or kanon k bht
sy masail paida hojaty hain
kuch log
driving k waqt bhi mobile ka istemal krty hain
jo k accident ka bais bnta
hy,kuch scientist ki researches sy yh sabit hochuka hy k mobile phone sy jo rays
nikalti hain wo insani zindagi k
liye bht nuqsan deh hain.
mobile k bht
zyada istemal ny logo k dar miyan
amny samny bth k batain krny or rabty ko khtm kr diya hy,kuch bachy
mobile phone ka bht galat istemal shoro kr dyty hain or clas
room main bhi beth k mobile use krty hain jis sy unki taleem pr bura
aasar prta hy. or to or is k behad istemal sy
kasheedgi ki satah pr izafa hota
hy.
Mobile k
fawaid or nuqsanat dono hain yh insan k istemal pr muhasir hy k wo kis had tak
or kis andaz main usksa istemal kr rha hy .mobile phone ny humary mashry main munfi soch paida krdi hy .sochny ki bat yh hy
k hum ny technology ko apny liye zehmat
kyun bna liya hy...??? akhir hum kisi
cheez ka sahi istemal krna akhir kb seekhain gy...???
Written by: Ayesha Amin
No comments:
Post a Comment