Maloomat ka wasee khazana
Aj k door
main media ka kirdar boht aham ho chuka hai.kisi bhi mulk ki mashiat(ecnomy) aur taraqi main media
bari ahmiyat ka hamil hai or yeh sb sey bara or taqatwar hatiyar ban
chukka hai .is sb k baawjood yeh khena k
media apna kirdar musbat tor par ada ni kar raha galat hoga.yh tu sochon ka
farq or waldain ki tarbiat hai jo bachun
k samny wo chenels dekehty hain jo nahi
dekhny chaiyen phir kehty hain media bachun ko bigar rha hai,media informative
programs bhi tu dkha raha hai hum bachun
k sath ya unk samny wo channels q ni
dekhty .Media ka asal maqsad tu sirf or sirf sachai ka poda lgana hai. .is main
koi shak ni media mashry k logo k liye khidmat kar rha hy.
Duniya main
har cheez k do pehlo hoty hain ik manfi
or ik musbat isi trhan media k bhi do pehlo hain lekin yh kisi bhi
mashry ki taraqi main ik eham kirdar ada krta hai hum sirf media ki khamiyan hi
kyun ginty hain jb k media
k fwaid bhi bht hain, jo shaks jesi soch rkhta hai usi k tehat cheezon ko
janchta hai.media tu bachun ki taleem o trbait,unki general knowledge or islami
maloomat waghaira main izafa krta hai hata
k ik research k mutabiq jo maloomat bacha kitabon main sy parh kr bhool jata hai agar wo hi maloomat media k zariye hasil ki jaye tu zyada arsy tk
bachun k zehnon main rhti ha.media bachoon k ilm main izafy ka zariya hai or yh
ik taqatwar asatza ka role ada krta hai .mazeed media k fwaid ka jaiza liya
jaye tu yh kehna bhi galat na hoga
k media k zaariye hi aj hum duniya ko janty hain or ghar bthy pori duniya ka safar
media k zariye kr chuky hain or sab sy khas bat media awam k majmoi shaoor main
izafa kar rha hai or nojwanon ko mashry ki trf jo u zimedariyan hain unki taraf
unko agah krta hai or duniya main hony
waly haqaiq or waqiat sy bhi agah krta
hai.ik research main yh note kiya gya hai k 9 sy 10 sal ki umar k bachun ko
kalmon sy zyada gany yad hain,mgr is bat ka zimedar hum media ko ni tehra skty bal k yh tu waldain ki
tarbiat hai jo bachunn k samny nach gany dkhty hain na k Islami programs dekha
kar unki islah kry.
Gharz k
media ka kirdar munfi ni balk mashry k logon ki sochain manfi hain.bat sirf
mahol ki hai bachy tu sirf baron skhty
hain agar khain tilawat lagi sun len tu foran chaennel ko tabdeel kr dyty hain
ab esy main bachyuy main kya tasur pary ga or o kya sikhy ga????
No comments:
Post a Comment